Hinglish RSS Feed
Subscribe Magazine on email:    

Rafi ke bete karenge Lata k khilaaf karvaahi

rafi can file case against lata mangeshkar

27 September 2012


Mohammad Rafi ke bete Shahid Rafi ne Lata Mangeshkar ke khilaaf karvaahi ki dhamki di hai. unhone lata ke is daave ko khaarij kiya hai Rafi ne unke v apne beech vivaadon ko door karne ke liye unhe maafi maangte hue patra(letter) bejha tha.


Shahid ne kha ' unhe kaho patra dikhaaye. Mere pita ka barso phle intkaal ho chuka hai aur ab ve is patra ki baat kar rahi hain. ye baat galat hai. Shahid khete hain ' mere pita rashtriya sampada the. mujhe is baat se chot phaunchi hai. unke prashanshak kisi anya kalaakaar se kahin jydaa hai. Agar ve saabit kar de ki mere pita ne maafi ka patr(letter) likha tha, to mein lataji se maafi maangne k liye taiyaar hoon.


Ek akhbaar ke interview k samaya Lata Mangeshkar ke hawaale se khaa gaya tha ki unka aur Rafi ka royalty jhagada hua tha, ki ve un ke saath gaana nahi gayenge aur us time par sangeetkar bhi majood the. Is baat par lata ne jawab mein kha tha ki ve khud un k saath nahi gayengi.


Lataji, kehna tha ki mamla nirdeshak Jaykishanji ki madat se suljhaya gaya tha. Akbhaar ne lata ke hawaale se kha,' mujhe Rafi saab ka patr mila aur jhgdaa  khatam ho gaya, lekin jab mein us patra (letter) ko dekhti thi, meri tees ubhaar aati thi.


Shahid  ka khena hai ki Lata Mangeshkar lokpriyta haasil karne ka hathkanda apna rahi hain. Kyunki, ve mere pita ke intkaal k baad bhi unke itne saare prshanskon ki vajha se asrukshit khud ko samjhti hain.


shahid  ne khaa 'mein 8-10 din ka intezaar karunga. is vishay par kanooni rai leni hogi.' Rafi ke bete ka khena hai ki Lataji jaisi kalakaar is tarah ki baat kar aaj ki yuva pedhi ko galat sandesh de rahi hain.


Ab dekhna hoga ki 8-10 din k andar ki, Lata Mangeshkar, Rafi Saab ke bete Shahid kaise Saabit karti hain.

More from: Hinglish
33086

ज्योतिष लेख

मकर संक्रांति 2020 में 15 जनवरी को पूरे भारत वर्ष में मनाया जाएगा। जानें इस त्योहार का धार्मिक महत्व, मान्यताएं और इसे मनाने का तरीका।

Holi 2020 (होली 2020) दिनांक और शुभ मुहूर्त तुला राशिफल 2020 - Tula Rashifal 2020 | तुला राशि 2020 सिंह राशिफल 2020 - Singh Rashifal 2020 | Singh Rashi 2020